Wo Nazrein Uthti, Jhukti
Or Uth Uth Ke Jhuk Jaati Hain
Yoon To Parichit Hai Mere Naam Se Bhi
Par Naam Lekar Kahaan Bulaati Hai
Ab Is Ko Kya Kahein Ham
Meri Har Baat Sahi Hai
Kami Usme Hi Kaheen Hai
Meri Chhoti-Chhoti Berukhi Par Bhi
Use Apni Hi Khata Nazar Aati Hai
Ab Is Ko Kya Kahein Ham
Hansaana Aasaan Nahi Usko
Wo Aksar Aansu Bhi Chupaati Hai
Yoon To Kabhi Apna Nahi Kaha Mujhko
Par Apni Har Ek Baat Mujhe Bataati Hai
Ab Isko Kya Kahein Ham
Kabhi Mere Kamre Ko Apni Tarah Se Sajakar
Mere Rumaalon Me Apni Khushbu Lagakar
Wo Shaamil Hai Har Jagah Meri Jindgi Me
Bas Adhikaar Hi Nahi Jataati Hai
Ab Is Ko Kya Kahein Ham
Apne Haathon Ki Mehndi Sajaane Ke Khaatir
Apni Choodi Paayal Ya Jhumke Dikhane Ke Khatir
Wo Aksar Intzaar Karti Hai Mere Achhe Mood Ka
Meri Jara Jara Si Taareef Paane Ke Khaatir