Wo Mujh Se Ye Nahin Kehti
Use Mujh Se Muhabbat Hai
Magar Woh Aaj Kal Aik Junoon Ki Zad Main Rehtee Hai
Ajab Aik Be Khudee Hai Jo Use Bechain Rakhtee Hai
Woh Mujh Say Baat Kertee Hay
Buhat He Aam See, Mosam Ki , Logon Ki
Mehaz Duniya Ki Rasmi See
Woh Mujh Say Baat Kernay K Bahanay Dhoondtee Hay Un Hawalon Say
Samajhtee Hay Main Us Ki Aam See Baaton Ko Bus “Yunhi” Samajhta Hoon
Woh Miltee Hay Mujhay Aksar Bahanon Say
K Main Guzree Yahan Say To Socha Baat He Ker Loon
Samajhtee Hay Main Us K In Bahanoon Ko Na Janoon Ga
Kabhi Jo Phone Kertee Hay
To Uski Muhabbat Us K Lehjay Say Jhalakti Hay
Mujhay Baychain Kertee Hay
Woh Mera Dhiyan Rakhtee Hay
Mere Her Baat Ko He Bin Kahay Woh Jaan Laytee Hay
Samajhtee Hay Woh Yeh Phir Bhee
Us Nay Khud Ko Chupa Rakha Hay Khud He Say
Magar Aksar,
Woh Khud Anjanay Main Apna Yeh Perda Chaak Kertee Hay
K Jab Mere Buhat Pehlay Kahi Huyee Her Baat Ko Woh Yaad Rakhtee Hay
Aur Unhi Lafzon Ko Mere Saamnay Duhra Bhee Datee Hay
Yun Lagta Hay K
Us Nay Mere Kahi Her Baat Ko Yun Yaad Rakha Hay
Woh Jaisay Aik Mahifa Hon
Woh Mujh Say Yeh Nahin Kehtee
K Us Ki Khuahish Usko Buhat Baychain Rakhti Hay
Ya Shayad In Dinon Woh Khud Say Bhee Chupatee Hay Magar
Uski Nigahain Aksar Usay Nakam Kertee Hain
K Saray Jaam Ulfat K Woh Bhar Bhar Ker Lutati Hain
Woh Dertee Hay Kahin Kho Na Day Mujh Ko
K Koi Baat Us Ki Mujh Ko Us Say Duur Na Ker Day
Woh Mujh Ko Sochtee Hay
Jagtee Hay Raat Bhar Woh Bhee
Magar Shayad Abhee Us Ko Muhabbat Main
Khamoshi Say He Jalna Hay
K Woh Jab Tak Perh Nahin Laytee
Yeh Aankhain Jis Main K Us Ka Naam Likha Hay
Mere Laho Ki Gerdishon Main Raqs Karti Chahatain Us Ki
Woh Jab Tak Parh Nahin Laytee
Samajh Layte Nahin Jab Tak
K Main Bhee Gamzan Hoon
Khamoshi Say Us K Raastay Per
Main Bhee Jagta Hoon , Sochta Hoon Raat Bhar
Main Bhee Jagtaa Hoon , Sochta Hoon Raat Bhar Us Ko
Magar Us Say Nahin Kehta