Wo Larki Bhi Ik Ajeeb Pahaili Thi
Piaasay Hont Thay Ankh Samandar Jaisi Thi
Sooraj Us Ko Daikh Ke Peela Parta Tha
Wo Sarmaa Ki Dhoop Main Dhul Kar Niklee Thi
Us Ko Apnay Saay Se Dar Laghta Tha
Soach Ke Sehra Main Wo Tanhaa Hirnee Thi
Atay Jatay Mousam Us Ko Dastay Thay
Hanstay Hanstay Palkoon Se Roo Parti Thi
Adhi Raat Ghunvaa Day Tee Thi Chup Reh Kar
Adhi Raat Ke Chand Se Batain Kartee Thi
Door Se Ujray Mandar Jaisa Tha Ghar Us Ka
Wo Apnay Ghar Main Ujree Davee Thi
Sab Par Zahir Kar Daiti Thi Bhaid Apnay
Sab Se Aik Tasveer Chhupay Rakhtee Thi
Kul Shab Chakna Choor Hoa Tha Dil Us Ka
Yaa Pehlee Bar Wo Khul Kar Rooi Thi
Mohsan Kia Janay Kion Dhoop Se Be-Parva
Wo Apnay Ghar Ki Dehleez Par Bathi Thi