Wo Is Kader Dehshat Bher Gaya Mere Dil Mein
Ke Ab Her Muskurate Chehre Se Der Lagta Hai
Jane Kya Ho Gaya Hai Ya Khuda Meri Ankhon Ko
Chand Bhi Ab To Gujere Jamanon Ki Tarah Lagta Hai
Chhu Na Lein Kahin Gum-E-Raat Ke Andhere Mujhe
Sham Ki Parchhaiyon Se Der Lagta Hai
Wo Her Raat Chandani Aati Thi
Sazi Dulhan Se Mere Aangan Mein
Kya Aalam Hota Tha Dil Ka‚  Jaise
Aag Lagi Ho Sawan Main Na Ker De Garq
Ye Chandani Timtimate Taron Se Der Lagta Hai
Hum Kya Jane Khiza Ke Washinde
Nazara-E-Bahar Kya Hota Hai
Humein To Mili Apno Ki Bhi
Nafarat Kya Jane Dilber-E-Pyar Kya Hota
Itne Gum Aur Bewafai Usne Di
Muhko Pyar Ke Naam Se Der Lagta Hai
Itni Khamoshi Chhai Hai Dil Mein
Dil Ki Dhadkan Bhi Ajeeb Lagti Hai
Jane Kya Ho Gaya Hia Aankhon Ko
Her Noor-E-Nazer Cheej Bhi Nacheej Lagti Hai
Uth Na Aaye Kahin Uski Yadon
Ka Tufaan Apni Sanson Se Der Lagta Hai
Usne Jakham Hi Aise Diye Mujhe Jinka Marhum Nahi Milta
Laker Us Mod Per Chhoda Hai
Koi Hum Dum Nahi Milta
Na Bhatak Jaun Rasta Apna Kadam
Badhaun To Manjilon Se Der Lagta Hai.