Wo Ghadi Bhar Ko Aaye Mere Aashiyane Mein Aise
Kona Kona Mehak Uthha Gulshan Ho Koi Jaise
Muskurate Unn Labon Ne Alfazon Ke Moti Hum Par Barsaaye
Bas Unhe Dekhti Rahi Main Aur Pyar Ke Do Moti Aankhon Se Lutaye
Wo Aankhon Se Bolte Rahe Main Aankhon Se Sunti Rahi
Pyar Ka Taana Khamoshi Se Wo Bhi Bunte Rahe Main Bhi Bunti Rahi
Hasrat Bhari Nigahon Ko Sukoon Ka Jaam Pilaya Hai
Unke Kadmon Ke Tale Hi Humne Apna Jahan Basaya Hai
Ek Khayal Hai Yoon Ki Khatam Na Hoi Kabhi Ye Ghadaiya-‘
Bas Yahi Chahat Hai Unke Aagosh Mein Beet Jaye Abb Sadiya-‘