Wo Barsaat Kii Hii Madhosh Shaam Thii
Jaanam Se Meri Pehli Mulaakaat Thii
Chal Padi Thii Bheegi Raahon Pe Mein
Bas Unke Deedar Kii Hii Mujhe Aas Thii
Silsila Mulakaaton Kaa Chal Pada Tha
Har Din Unse Milne Kii Mujhe Pyaas Thii
Khogayi Thii Unki Mohabbat Mei Is Kadar
Bas Unhi Se Hii Jeene Kii Khwaaish Thii
Sochaa Naa Thaa Aisa Tohfa Unse Milega
Wo Shaam Mere Liye Bahaut Khaas Thii
Sanam Ke Haathon Mein Mera Haath Tha
Aur Unke Hoton Pe Kuch Ankahi Baat Thii
Meri Ungli Mein Ek Sitara Jhilmilaaya
Kitni Haseen Woh Pyaar Ki Saugaat Thii
Mujhse Naa Poocho Meri Khushi Kaa Haal
Zindagi Mein Ab Aur Koi Kami Naa Thii
Aaj Phir Se Barsaat Kii Shaam Aayi Hain
Aur Ankhon Mei Mere Khushi Kii Nami Thii
Ban Rahi Thi Apni Jaan Kii Dulhan Mein
Apni Yaar Kii Mohabbat Se Mein Saji Thii
Khil Uthi Thi Duniya Meri Phoolon Si
Daman Mei Aaj Farhana Kii Har Khushi Thii