Waqt Ke Saath Naa Badle To Wo Mausam Nahin Hota
Samandar Ko Kissi Ke Doobne Kaa Gum Nahin Hota
Jo Bin-Awaaz Aatay Hain Wahi Tufaan Laate Hain
Garajne Waalon Mein To Brasne Ka Dum Nahin Hota
Tumhaari Muskuraahat Hi Ailaan-E-Jang-Bandi Hain
Ishq Mein Jeet Ka Koyi Doosra Parcham Nahin Hota
Lutaa Do Ishq Ki Daulat ,Chhupaa Rakhi Hai Jo Dil Mein
Kabhi Taqseem Say Bhi Yeh Khazaana Kum Nahin Hota
Kuchh Aisay Dard Hain Jo Ta-Umr Hi Saath Rehtay Hain
Waqt Kay Paas Bhi Har Zakhm Kaa Marham Nahin Hota
Zamaanay Beet Jaatay Hain Dilon Ko Paas Laanay Mein
Alagh Honay Kaa Bhii To Faisla Yak-Dum Nahin Hota
Ghazal Kehnay Kii Khatir Aur Bhii Laakhon Massayil Hain
Faqat Mehboob Ki Zulfon Kaa Paich-O-Khum Nahin Hota