Vo Khushbu Se Mehka Hua Savera Kabhi To Hoga
Jab Phhuul Khil Khil Kar Mehak Rahe Ho
Suraj Apni Garamaht Ko Chupate Hue
Thandi Saanse Bhar Raha Ho
Panchi Apne Pinjaro Ko Thor Kar
Aasman Ko Chu Rahe Ho
Surmai Laal Rang Aur Neele Rang Ki
Woh Patli Chadar Liye Subah Aaye
Jismein Meethi Khushbu Ho Gulaab Ki
Thandak Ho Chandan Si
Palke Khule To Ehsas Ho
Dharti Per Sawarg Ka‚  Us Prem Ka Jo
Hame Tohfa Hai Bhagwan Ka
Jis Per Sab Ka Barabar Ka Haq Hai
Jise Pa Kar Har Insaan Pyara Ho Jaaye
Us Nanhe Bache Ki Tarah
Jo Kuch Bhi Kare – Pyara Hi Lagta Hai
Us Mein Nafrat Na Ho
Apna Aur Paraya Pehchanne Ki Shamta Na Ho
Bas Ho To Sirf Pyar Ho
Kash Yeh Sapna Sach Ho Sakta
To Aaj Yeh Dharti Sawarg Hoti