Us Raat Tum To So Gai Par Main Naa So Paaya
Tumhe Raatbhar Sote Huye Dekhta Raha,
Dekhta Raha Ke Tum, Neend Mein
Kitni Baar Muskuraati Ho,
Dekhta Raha Ke, Paseene Kii
Jhunjhulaahat Mein Kitna Chatpataati Ho,
Aahista-Aahista Leta Tha Saansein
Khalal Naa Pad Jaaye Tumhaare Khwaabon Mein,
Kyonki Jaanta Hoon, Kii Halki Awaaj Se Bhii
Tum Aksar Jaag Jaati Ho,
Us Raat Main So Naa Paaya
Pehron Tumhe Dekhte Jo Rehna Tha
Ye Mauka Main Kho Naa Paaya,Kai Baar Chaaha Ke
Ke Tumhe Chhu Kar Dekhoon
Kai Baar Haath Barhaaya Per Tumhe Chhu Naa Paya,
Tumhaare Uthte-Girte Se Badan Per
Main Tumhaari Saansein Ginta Raha,
Tumne To Anjaane Mein Hii Sahi
Haath Rakh Diya Mere Seene Per,
Lekin Main Chaahkar Bhii Tumhaari Tumhaari Dhadkanein Naa Sun Paaya,
Raatbhar Tumhaari Saansien
Mere Zism Se Takraati Rahi
Raat Bhar, Tumhaari Ye Nazdikiyaan Lekin
Ekk Doori Ka Ehsaas Karwaati Rahi,
Kitni Hi Baar Tumhaara Wo Dupat.Ta Bhii
Tumhaare Badan Se Sarak Jaata Tha,
Khidki Se Jhaankta Wo Chaand Bhi Shaayad
Meri Haalat Pe Taras Khaata Tha,
Mai Kabhi Moond Leta Palkein
Or Kabhi Wo, Baadlon Mein Chhup Jaata Tha,
Aaj Jab Bhi Main Tumhaare Kareeb Aata Hoon
Tumhe Kuchh Simta Or Sakuchaya Sa Paata Hoon,
Kyon Bhool Jaati Ho Ke Tum Ganga Ho Is Chaand Ki
Tumhaari Nazdikiyon Mein Mai Aksar Paap Rahit Ho Jaata Hoon.