Us Nay Mere Seenay Par Sar Rakh Kay Poocha
Janan Apnay Jeewan Ka Wo Lamha To Batlaao Mujh Ko
Jis Kay Badlay Mil Saktay Han Sabhee Sitaray
Daryaaon Kay Saray Moti
Sawan Ki Pehli Barish Kay Saray Qatray
Ujlay Chand Ki Sari Kirnain
Dharti Kay Seenay Say Liptay Sabhee Khazanay
Saray Mosam Sabhee Duaain
Phoolon Ki Angeen Qabaen
Patti Patti Parnay Wali Bheeni Shabnam
Us Nay Mere Seenay Pa Sar Rakh Kar Poocha
Janan Apnay Jeewan Ka Wo Lamha To Batlao Mujh Ko
Jis Kay Badla Sab Kuch Apna, Sa Kuch Sab Kuch
Apna Sab Kuch Day Saktay Ho
Main Nay Us Ka Matah Chooma Aur Bola Jab
Pehli Bar Mer Seenay Par Tum Nay Apna Sar Rakha Tha