Unko Dekte Hi Yeh Pathar Dil Pighal Gaya Mom Ki Tarha,
Woh Khoobsoorat Hi Itni Thi Bikul Ek Apsara Ki Tarha
Zindagi Bikhar Gayi Hai Ashkon Ki Tarha,
Unko Dekha Toh Toot Gaye Hum Lehron Ki Tarha,
Kash Woh Humare Hojate Yeh Dua Hai Humari,
Par Woh Bhi Paraye Nikl; Humari Saanson Ki Tarha
Unko Dekte Hi Yeh Pathar Dil Pighal Gaya Mom Ki Tarha,
Woh Khoobsoorat Hi Itni Thi Bikul Ek Apsara Ki Tarha
Pathar Ka Dil Jaag Gaya Ek Sapne Ke Bad,
Dafan Dil Zinda Hogaya Ek Arse Ke Bad,
Kash Hum Unka Haath Tham Sakte,
Par Yeh Khwahish Adhuri Rehgayi; Humari Zindgi Ki Tarha
Unko Dekte Hi Yeh Pathar Dil Pighal Gaya Mom Ki Tarha,
Woh Khoobsoorat Hi Itni Thi Bikul Ek Apsara Ki Tarha
Unki Nashili Aankhon Ne Hume Ankhon Hi Ankhon Main Pila Diya,
Unka Shabnam Baraste Chehre Ne Hume Hila Diya,
Kash Woh Humare Zindagi Main Toofan Laye Nah Hote,
Toh Zindagi Shanti Se Guzar Jati; Humari Pal Do Pal Ki Khushiyon Ki Tarha
Unko Dekte Hi Yeh Pathar Dil Pighal Gaya Mom Ki Tarha,
Woh Khoobsoorat Hi Itni Thi Bikul Ek Apsara Ki Tarha
Tanhayion Main Zindagi Achi Guzar Rahi Thi,
Dafan Dil Hamesha Ke Liye So Gaya Tha,
Unhone Apni Soorat Dikha Kar Phir Jeene Ki Wajah De Di,
Kash Woh Aisa Naa Karti; Humare Adhure Pyar Ki Tarha