Unki Rahun Mein Kitne Charag Jalte Hain
Nigahein Aasma Pe Jinki Zameen Pe Chalte Hain
Jab Bhee Milte Hai To Bahane Milte Hain
Aajkal Yaar Kahan Yaaron Se Milte Hain
Raah-E-Ishq Mein Wo Kitna Dur Chalte Hain
Jo Chalte Kam Hai Zyada Sambhalte Hain
Tavil Raaton Ke Tareekhi Se Kyaa Gila
Inhi Raaton Mein Ghum-E-Dil Ke Charag Jalte Hain
Uss Vasl Ke Baad Aankh Aaena Ho Gayii
Ab Jis Se Milte Hai Fakar Aap Se Milte Hain
Zamane Bhar Ke Ujale Kar Ke Dekh Liye Amaan
Parwane Magar Sirf Shamma Pe Machalte Hain