Tumjo Pal Bhar Ko Thehar Jao To Yeh Lamhe Bhi
Ane Wale Kayi Lamho Ki Amanat Ho Jain
Tumjo Pal Bhar Ko Thehar Jao To Yeh Raat
Yeh Mahataab ,Yeh Sabza Yeh Gulaab
Or Ham Dono K Khwab Sab K Sab Aise Hon Mabham*(Miljain)
K Haqeqat Ho Jain Tum Thehar Jao K Unwaan Ki Tafseer Ho Tum
Tumse Talkhiye Okaat Ka Musam Badle
Raat To Kiya Badle Gi.Halat To Kiya Badlain Gain
Tum Jo Thehar Jao Tu Meri Zaat Ka Musam Badle
Meharban Ho K Na Thero,To Yun Thehro
Jaise Pal Bhar K Liye Khwabe Tmanna Thehre
Jaise Darwesh E Madha Nosh K Piyale Main Kabhi
Pal Do Pal K Liye Talkhiye Duniya Thehre
Tum Thehar Jao K Madarat K Mekhane Se
Chalte Chalte Koi Aik Adh Sabo Ho Jaye
Is Se Pahle K Lamh E Ainda Ka Teer
Is Tarah Aye K Paivast E Guloo* Ho Jaye
(Shehrag K Paar)
Tum Jo Pal Bhar Ko Thehar Jao
Tum Thehar Jao