Tumhein Zid Hey Ke Mein Keh Doon
Mujhey Zid Hey Ke Tum Keh Do
Mujhey Tum Se Mohabbat Hey
Kaho Mujh Se Mohabbat Hey
Nahin Yeh Jantey Dono
Mohabbat Kab Bhala Mohtaaj Hey Lafzo Ki
Mohabbat To Hamari Dharkano Ki Saaz Mein Shamil
Sureeley Geet Ki Manind
Mohabbat Yaad Ki Devi
Jo Tanha Raat Ko Aksar Utar Aati Hey Aankho Mein
Mohabbat Muskurahat Hey Haseen Nazuk Sey Honto Mein
Mohabbat Sanduli Haathon Ki Nazuk Lahzish Mein Hey
Mohabbat Soch Ki Gehraiyon Sye Phoot Ti Khushbo
Hamesha Saath Rehti Hey
Mohabbat Aankh Mein Pulta Woh Pur Israr Jazba Hey
Jisey Ab Tak Nahin Koi Samajh Paya
Na Is Ki Koi Surat Hey
Na Is Ka Koi Peymana
Dhukey Alfaaz Mein Is Ka Bohat Izhar Hota Hey
Kuch Aisey Hi Key Jesey Ab
Tah-E-Dil Sey To Hum Dono Bohat Iqrar Kartey Hein
Magar Phir Bhi Na Janey Kyun
Tumhein Zid Hey Key Mein Keh Doon
Mujhey Zid Hey Key Tum Keh Do
Mujhey Tum Se Mohabbat Hey
Kaho Mujh Se Mohabbat Hey