Tumhee Meri Mohabbat,
Tumhee Meri Bandigi,
Tumhjee Se Meri Sari Jindagi Hai.
Aye The Kabhie Vo Mujhse Karne Pyaar
Sab Kuch Apna Lutaane Ko Yaar
Dost Mere Ab Vo Din Dhal Gaye
Dekhte Dekhte Vo Kitna Badal Gaye
Badlein Hain Vo Kuch Is Tarah Se
Jaise Mera Sab Kuch Lootne Jaa Rahe Hain
Bade Pyaar Se Usne Badla The Mera Naam
Subhah Shaam Use Lena Bas Yehi Tha Kaam
Aaj Ye Nujhe Thodi Taqleef Pahunchata Hai
Jab Koi Aur Mujhe “Aru’ Pukarta Hai
Bhoolen Hain Vo Mera Naam Kuch Is Tarah Se
Jaise Koi Apni Bhoolta Yaadshasht Hai
Usne To Katl Mera Kar Hee Diya Tha
Jaanta Hoon Bas Mein Kaise Jiya Tha
Dil Ab Bhi Kahin Mera Nahin Lagta Hai
Naa Jeete Banta Hai Naa Marte Banta Hai
Jeete Hai Ab Hum Kuch Is Tarah Se
Jaise Kisi Gunaah Kee Saja Kaat Rahe Hain
Choodti Maa Baap Ke Liye To Gum Nahin Hota
Choodti Paise Ke Liya Vo Bhi Kam Nahin Hota
Chooda Kisi Aur Ke Liya Bas Ye Gila Hai
Meri Mohabbat Ka Kya Ye Sila Hai
Sehte Hai Sab Hum Kuch Is Tarah Se
Jaise Tadpane Mein Maja Aa Raha Hai
Jaane Vo Kya Tha Jo Usne Kiya Tha
Jaane Vo Kya Tha Jo Usne Diya Tha
Itna To Ab Hum Bhi Jaante Hain
Naa Use Pyaar Naa Dil Kehte Hain
Karte Hain Sanam Pyaar Kuch Is Tarah Se
Jaise Apna Sab Kuch Lutaane Jaa Rahe Hain
Dost Mere Kehte Hain Use Too Bool Jaa
Vo Gayee Choodkar,Too Ye Kubool Jaa
Kehte Hain Hum Doston Bhoola Use Jaata Hai
Jise Kabhie Yaad Kiya Jaata Hai
Karte Hain Yaad Hum Kuch Is Tarah Se
Jaise Ek Saans Ke Baad Aati Doosri Saans Hai
Kabhie Hum Bhi Hanste The Mere Doston
Kabhie Hum Bhi Hansaate The Mere Doston
Aaj Ye Aalam Hai Kee Jidhar Se Gujarte Hain
Log Dekhkar Hansna Band Kar Dete Hain
Hansenge Ek Din Hum Kuch Is Tarah Se
Jaise Koi Jaane Waala Karta Aakhiri Salaam Hai
Aaj Bhi Yaad Hai Apnee Aakhiri Mulaqat
Pata Hota Mujhko To Jee Bhar Kar Mil Leta
E Mere Sanam Ehsaan Ek Kar Do
Aakhiri Mulaqat Kehkar Aakhiri Baar Mil Lo
Milenge Us Din Hum Kuch Is Tarah Se
Jaise Kal Hee Duniya Choodne Jaa Rahe Hain
Uskee Tasveeron Ko Dekh Nahin Paata Hoon
Uske Tohfon Ko Fenq Nahin Pata Hon
Kya Karoon Main Kuch Samajh Nahin Pata Hoon
Uske Likhe Khat Jala Nahin Pata Hoon
Jaloonga Sab Ek Din Kuch Is Tarah Se
Jaise Koi Khud Hee Apnee Jalata Chita Hai
Usko Hee Dekhkar Likha Karte The
Ek Ek Rachna Use Padaya Karte The
Doston Hum Aaj Bhi Badlein Nahin Hain
Kal Ho Ya Aaj Ho Likhte Usee Pe Hain
Likhte Hain Par Kuch Is Tarah Se
Jaise Koi Beemar Apne Dard Ko Karta Bayan Hai
Kabhie Mana Karte The Vo Peene Se
Aaj Mana Karte Hain Vo Jeene Se
Magar Yaaron Hum Aaj Bhi Pee Lete Hain
Shayad Isiliye Hum Jee Lete Hain
Peete Hain Par Kuch Is Tarah Se
Jaise Jeene Kee Dava Pee Rahe Hain
Vo Din Jab Hame Pata Chalee Baat Thi
Naa Poochoo Doston Qyamat Kee Raat Thi
Aankhon Se Mere Aasoon Bahe Jaa Rahe The
Mere Dard Kee Daastan Kahe Jaa Rahe The
Roya The Us Din Hum Kuch Is Tarah Se
Jaise Samandar Mein Aa Gaya Sailaab Hai
Jasbaaton Se Kisi Ke Khela Nahin Karte
Pyaar Se Diye Tohfe Fenkaa Nahin Karte
Isse To Accha Mujhe Lota Dete
Seene Se Laga Kar Hum Rakh Lete
Chalte Hain Sadak Parhum Kuch Is Tarah Se
Jaise Apne Tohfe Dhoondte Jaa Rahe Hain
Jaata Hoon Ab Bhi Un Jagahon Parlnbrk