Tumhare Naam Likhta Hun
Muhabbat Aur Khusboo Ke
Wafaon Ke Massarat Ke
Dhadakte Dil Ke Wo Nagme
Jo Insano Ki Dharti Par
Har Eek Mausam Me Gaye Hain
Tumhare Naam Likhta Hun
Akhuwat Aur Ulfat Ke
Sadakat Aur Azmat Ke
Wo Phoolon Jaise Afsane
Jo Iss Duniyan Me Logon Ne
Sune Hain Aur Sunaye Hain
Tumhare Naam Likhta Hun
Hakeekat Aur Hikamat Ke
Sharafat Aur Zurrat Ke
Wo Lafzon Ke Khazane Sab
Talase Aadmiyat Ne
Jo Khud Ko Kho Ke Paye Hain
Tumhare Naam Likhta Hun
Sabhi Ehsas Aur E Dil
Yakeeno-Azmo- Mustakbil
Jinhe Paane Ki Hasarat Me
Farishton Ne Mujhe Chaha
Magar Mai Apani Sari Kaynat
Apana Sabhi Haseel
Tumhare Naam Likhta Hun
Tumhare Naam Likhta Hun
Hansi Phoolon Ka E Mausham
Gulo Bulbul Ke Afsane
Khiiza,Sawan, Ghata,Badal
O Teri Aankh Ka Kajal
Dhanak Ne Jo Banaya Tha
O Purwayee Jo Khusboo Le Ke Aayee
Tere Aanchal Ki
Tumhare Naam Likhta Hun
Tumhare Naam Likta Hun
Eh Dhadkan Apane Seene Ki
Har Wo Khwahis,O Armaan
Oh Dil Ki Butparashti
Jise Duniya Ki Har Sai Ne
Muhabbat Naam Rakha Hai
Tumhare Naam Likhta Hun
Tumhare Naam Likhta Hun
Rawani Apane Nagmon Ki
Gharonda Pyar Se Tha Jo Banaya
Teri Chahat Me
Uski Tooti Huyee Har Deewaron
Aur Chhappar Ki Kahani
Mai Tumhare Naam Likhta Hun