Tumhain Main Kis Tarah Dekhoon
Dareecha Hay Dhanak Ka Aur
Ek Badal Ki Chilman Hay
Aur Is Chilman K Peechay Chup K Bethay
Kuch Sitaaray Hain, Sitaaroo Ki
Nighaao Mein Ajab Si Ek Uljhan Hay
Woh Hum Ko Dekhtay Hain Aur
Aapas Mein Kehtay Hain K….
“Yeh Manzar Aasmaan Ka Zameen Pe Kis Tarah Poncha
Zamee.Ndaaro Ki Qismat Mein Yeh Jannat Kis Tarah Aayi”
Sitaaroon Ki Yeh Hairani Samjh Mein Aanay Wali Hay
K Aisa Dilnasheen Manzar Kam Hi Kisi Ne Dekha Hay
Humaray Darmiyaan Is Waqt Jo Chahat Ka Mausam Hay
Usay Lafzoon Mein Lekhain Tu Kitaabain Jagmaga Uthain
Jo Soochain Us K Baray Mein Tu Rooh Gungunaa Uthay
Yeh Tum Ho Mere Pehlo Mein……K
Khuwab-E-Zindagi Taabeer Ki Soorat Mein Aya Hay
Yeh Khiltay Phool Sa Chehra
Jo Apni Muskharat Se Jahan Mein Roshni Karday
Laho Mein Taazagi Bhar Day
Badan Ek Dhair Raisham Ka
Jo Hathoon Mein Nahi Tikta
Anookhi Si Koi Khusbu K Aankhain Band Hojaye
Chupa Kajal Bhari Aankhoon Mein Koi Gehra Raaz Hay
Bohat Nazdeek Se Dekhain Tu Cheezay Phail Jati Hain