Tum Agar Saath Dane Ka Wada Karo
Mein Younhi Mast Naghmey Lutata Rahoon
Tum Mujhe Dekh Kar Muskurati Raho
Mein Tumhein Dekh Kar Geet Gaata Rahoon
Kitney Jalwey Fizayoun Mein Bikhrey Magar
Mein Ney Ab Tak Kisi Ko Pukara Nahien
Tum Ko Dekha Tou Nazarien Yeh Kahney Lagien
Hum Ko Chehrey Se Hatna Gawaara Nahein
Tum Agar Meri Nazroun Kay Aagey Raho
Mein Har Ek Shay Se Nazrein Churaata Rahoon
Mein Ney Khuaboun Mein Barsoun Taraasha Jissey
Tum Wohi Sang-E-Marr Marr Ki Tasveer Ho
Tum Na Samjho Tumhara Muqaddar Hoon Mein
Mein Samajhta Hoon Tum Meri Taqdeer Ho
Tum Agar Mujh Ko Apna Samjhney Lago
Mein Bahaaroun Ki Mehfil Sajaata Rahoon
Mein Akela Bouhot Dair Chalta Raha
Ab Safar Zindagaani Ka Kat-Ta Nahein
Jab Talak Koi Rangeen Sahara Na Ho
Waqt Kaafir Jawaani Ka Kat-Ta Nahien
Tum Agar Hum Kadam Ban Kay Chalti Raho
Mein Zameen Par Sitaarey Bichaata Rahoon