Tujh Sey Mil Kar Tu Yeh Lagtaa Hai Kay Aey Ajnabi Dost
Tu Mere Pehli Mohubbat Thi, Meri Aakhri Dost
Loog Har Baat Ka Afsaana Banaa Daytey Hein
Yeh Tu Duniya Hai Meri Jaan, Kayi Dushman Kayi Dost

Teri Kaamat Sey Bhi Lipti Hai Amber Bail Koi
Meri Chaahat Koo Bhi Duniya Ki Nazar Khaa Gayi Dost
Yaad Aaye Hai Tu Phir Toot Kay Yaad Aaye Hai
Koi Guzri Hui Manzil, Koi Bhooli Hui Dost
Abb Bhi Aaye Hoo Tu Ehsaan Tumhaara Laykin
Woh Qayamat Joo Guzarni Thi, Guzar Bhi Gayi Dost
Tere Lahjey Ki Thakan Mein Tera Dil Shaamil Hai
Aisa Lagtaa Hai Judai Ki Gharri Aa Gayi Dost
Mein Ussey Aahed Shikan Kaisay Samajh Loon Jis Ney
Aakhri Khat Mein Yeh Likhaa Tha “Aap Ki Dost”