Tu Jaanati Hai, Pahchanati Hai,
Fir Bhi Kuch Kahti Nahi,
Mai Jaanta Nahi Pahchanta Nahi Tujhe,
Fir Bhi Pata Nhai Kyo,
Tu Parai Hokar Bhi Apani Si Lagti Hai,
Tera Ahsas Mujhe Har Pal Ghere Rahta Hai,
Teri Andekhi Muskan Mere Hontho
Par Muskan La Deti Hai,
Tera Andekha Gussa Mere Andar Tak
Tujhe Khone Ka Dar Basa Deta Hai,
Tera Anchhua Sparsh Mujhe Romanchit Kar Deta Hai,
Tere Rone Ka Ahsas Meri Aankho Me Najr Aata Hai,
Tujhase Dil Ka Rishta Hai,
Fir Kyo Mai Tujhe Jaanta Nahi Pahchanta Nahi