Thithrtey Hooey Lamhaat Main
Teri Garm Aaghosh Ko
Main Kiase Bhool Sakta Hoon
Jub Too Ne Chooma Tha Jazbat Main
Mere Lab-E-Khamosh Ko
Tere Hi Jism Ki Garmi Ne
Mujhe Bukhsha Wajood
Tere Hi Honton Ke Lams Ne
Mujhe Bukhsha Sarood
Main Kaise Bhool Sakta Hoon
Woh Apna Pehla Qadam
Keh Jis Ke Zameen Tha Tera Shikam
Main Kaise Bhool Sakta Hoon
Woh Apna Pahla Zakham
Tera Ghumzadah Hoker Rakhna Marham
Mera Rona Aur Tera Lori Kehna
Mera Sona Aur Tera Jagte Rahna
Ajub Hai Aaj Bin Lori Kahe
Khud Hi So Gaee
Ye Kia Hoowa Kahan Kho Gaee
Jaago ,Jaago Na Maan
Mujhe Sona Hai Maan
Aaj Barri Khamshi Hai
Aur Main Tanha
Aaj Barri Sardi Hai Maan
Zameen Main Barri Sakhti Hai
Aur Main Aablapa
Jaago Na Maan