Thi Kal Teri Meri Sangat Ki Raat
Hawa Bhi Thi Behud Shookh
Fiza Thi Mehki Teri Khusbu Se K
Thi Kal Teri Meri Sangat Ki Raat
Tu Bethi Thi Simat K Phooloon Ki Saaij Per
Main Bhi Machal Raha Tha Dastak Dene Ko Darwazay Per

Aanay Se Meray Tu Chonk Si Gayi Thi
Beqaraari Mere Dil Main Bhi Thi
Dharkanoo Mai Tere Bhi Betarteebi Thi
Jab Saij K Sarhanay Uthay Thay Qadam
Hoye Thi Halchal Tere Perahan Main ———–>perahan=libaas
Behat Ker Jo Kia Tha Main Ne Salaam
Hoyi Thi Janbish Tere Bhi Hontoon Main ———->janbish=hilna/harkat
Jab Tera Malboos-E-Aanchal Hataya Tha
Tu Ne Chehray Ko Apnay Jhukaya Tha
Haath Mere Bhi Horahay Thay Beqaabo
Tu Ne Bhi Nichlay Hont Ko Dabaya Tha
Palkain Thi Jhuki Teri Nasheeli Ankhon Per
Chupee Bethi Laboo K Peechay Muskan Bhi Thi
Sard Kamray Main Bhi Boond Thi Rukhsaar Per
Raqs Karti Sharaarat Meri Ankhon Main Bhi Thi
Chehray Per Tere Tabassum-E-Haya Dekh Ker
Woh Tera Laal Joora Bhi Sharma Raha Tha
Tere Perahan K Aanchal Ki Hidat Ko Chu Ker
Taufan-E-Jazbaat Main Heijaan Barpa Tha
Narm Ungliyon Se Tera Chehra Uthaya Jo
Teri Bhi Bund Aankhain Muskaayeen Thi
Samaaya Nazar Main Aankh Bund Karke Jo
Tu Ne Bhi Lamhay Ko Apni Palak Uthayi Thi
Tere Haathoon Per Bekhray Rung-E-Hina Ko
Khila Sa Diya Tha Mere Hontoon Ki Hidat Ne
Garm Machalti Sansoon K Ubhaar Main
Chupaya Tha Tera Chehra Unhi Haathoon Ne
Ungliyoon Ne Mehsoos Ki Thi Narm Zalfon Ki Mehak
Marmaree Badan Jab Tha Bahaon K Ghairay Main
Madhoosh Kar Rahi Thi Teri Chooriyoon Ki Khanak
Aman Behak Sa Raha Tha Sharmgeen Lehjay Main
Mushtaaq Hay Jannay Ko Yeh Nayi Subah Bhi
K Kaise Beeti Thi Teri Woh Kal Ki Raat?
Sargooshi Karti Hain Kaan Main Tere Sehliyaan Bhi
K Kuch Tu Bata Howa Kia Tha Kal Raat ?
Aur Tu Muskara Ker Kehti Hay, Thi !
Woh Meri Aur Unki Sangat Ki Raat