Tha Raat Ke Waqt Mein Ik Lamha Haseen
Mehekte Phoolon Kee Raahein Thee Kaheen
Chand Kee Roshani Mein Thee Koi Rumaani Baat
Hawaaon Mein Bhee Koi Bechaini Thee Uss Raat
Aapki Pyaar Bhari Nazar Ne Kiya Aisa Jaadoo
Dil Kii Tez Dhadhkanen Ho Gayeen Bekaaboo
Sharmaake Humne Apna Chehra Chupaaya
Aapne Dheere Se Meri Soorat Se Anchal Hataaya
Aapne Liya Apne Haath Mein Mera Haath
Dheere Se Meri Hathelee Ko Choom Ke Kaha
-Å—hai Aaj Tune Mehndi Lagayi Mere Naam Ki
Waada Hai Raunak Badhaii Hai Meri Har Shaam Ki-
Muskurahkar Humne Apni Nazarein Jhukaayin
In Ankhon Mein Kitni Khwahishen Thi Basaayin
Aur Phir Faasle Kam Hi Kam Hote Gaye
Aap Ahista Ahista Nazdeek Aate Gaye
Seene Se Lagke Humne Nazar Daali Asmaan Par
Dhoonda Ik Chamaktaa Hua Umeedon Kaa Taara
Dil Se Awaaz Nikli K Yeh Waqt Tham Sa Jaaye
Iss Lamhe Ko, Iss Saath Ko, Koi Bhuja Naa Paaye
Aur Phir mera Kambakht Alarm Clock Baja
Uthaaya Mujhe kiya Uss Sapne Ko Fanaa
Kya Yaar koi Aur Time Nahi Mila Tha Kya?