Teri Dunya Nami Mehfil Main
Ham Or Kuch Palon Ko Thehre Hai
Phir Jin Raston Ko Jana Hay Hmain
Woh Gahre Hai Bohat Hi Gahre Hai
Khwhish Hai Khwahish Ka Biyan Krain
Per Zubaan Per Izn K Pehre Hai
Kuch Lafz Khain Jo Sadiyon Se
In Labon Tak A Kar Thahre Hai
Suna Hay Or Bohat Se Hai
Jo Kahain K Sab Tumahara Hai
Yeh Kahain K Un K Haton Main
Tere Nam Ki Likhi Rekha Hay
Meri Jaan-Emaan Ki Kasam Tumhain
Kabhi Khan Sa Aashiq Dekha Hai
Woh Khan Jo Tere Ishq Main Kab Se
Qais Ki Rah Main Gard Hoon
Jo Dard Chupane Main Meer Bna
Biyaan Main Insha Ka Shagird Hwa
Jo Ratoon Ko Apni Ankhon Main
Koi Tujh Si Sorat Banata Hay
Teri Tasveer Se Dhool Htane Ko
Ashkon K Dariya Bahata Hay
Jo Rukti Thamti C Dharkan Ko
Teri Yaad Ki Dwa Pilata Hay
Teri Duniya Nami Mehfil Main
Chand Akhri Shair Sunata Hay
Phir Gahre Gahre Rastoon Per
Use Jana Hay Woh Jata Hai
Tasleem K Teri Mahfil Main
Tere Naam K Ashiq Or Bohat
Tere Naam Pe Jaan Lutain Jo
Teri Tasveer K Khaliq Or Bohat
Teri Yaad K Jaam Jo Pete Hoon
Zakhm Khate Hon Phir Sete Hon
Liye Teri Tamanna Sene Main
Kisi Aas Umeed Pe Jeete Hoon
Yoon Samjho Un Hazaroon Main Se
Un Beemaron,Lachron Main Se
Kisi Aik Ne Tum Se Poch Hai
Meri Jaan -Emaan Ki Kasam Tumhain
Kaho Kabhi Khan Sa Ashiq Dekha Hay?