Teri Aankhoon Nay Mujhay Deewana Kia,
Deewana Kia Khud Say Bhi Baygana Kia,
Teer Chala Kar Nazar Say Mohabbat Kay
Meray Dil Ko Hi Nishana Kia
Teri Aankhoon Nay To Mujh Ko Tasheer Kia,
Apni Mohabbat Ko Meray Dil Pay Tehreer Kia,
Loot Li Teri Aankhoon Nay Sher-E-Dil Ki Doulat
Meri Zaat Hi Mein Mujh Ko Faqeer Kia
Teri Aankhain Kitab-E-Zindagi Ka Haseen Baab Bani,
Harf Harf Parrha Mujhay, Mera Nisaab Bani,
Chaahay Thay Jab Chaar Suu Andheeray
Teri Aankhain Hi To Mehtaab Bani
Teri Aankhain Hain Kay Hain Qudrat Ka Nazaraa
Attah Karda Tujh Ko Koii Tohfa Anmol
Labb Chahay Khamosh Rahain Phir Bhi
Bhaid Saray Teri Aankhain Dayti Hain Khol
Dil Chahay Teri Mast Aankhoon Ko
Choom Loon Aur Iin Mein Doob Jaoon
Dekhoon Khawab Phir Teri Chahat Kay
Aur Teri Aankhoon Mein Kho Kay Tabeer Paoon
Yoon Bas Gai Hain Tasawar Mein Teri Aankhain
Har Taraf Nazar Aati Hain Bas Teri Aankhain
Teray Khawab Palkoon Mein Saja Kar Mujh Ko
Apni Aankhain Bhi Lagti Hain Abb Teri Aankhain
Dekhoon Teri Aankhoon Mein To Lagta Hai Sanam
Meray Liye Hi Huwa Hai Teri Aankhoon Ka Janam
Yoon Sama Gaii Hai Teri Aankhoon Ki Chah Mujh Mein
Dil Say Teri Mohabbat Kabhi,Abb Na Ho Gi Kam
Dil Chahay Teri Haseen Aankhoon Kay Naam
Kar Doon Main Zindagi Ki Har Subah-O-Sham
Yoon Lagay Kay Abb Naheen Hai Mujhay
Teri Aankhoon Ko Chahnay Kay Siwa Koii Kaam