Tehri-Teeri Zindagi Se Door Vahaan Kshitij Se Pare
Kuchh Khwaabon Ka Tarannum Ho Aise Mei Koi Haath Thaam Le
Do Kadmo Ke Saath Chale Door Chhat_te Kohre Mein
Jahaan ‘Bas Ek Tassavur’aur Koi Bhi, Ho
Aanchal Thaame Zindagi Chupke Se Hans Deti Ho
Neeli-Neeli Geheri Jheel Sahaaron Aur Khwabon Ki Taameer
Aur Fir Vahi Bewaqt Ye Khushnuma Khyaal Ki Fir Chupke Se Ek Din Aur Dhal Gaya |