Tehjeeb Ki Dali Apni Jubaan Me Rakh
Ishq Ka Ek Teer Apni Kamaan Me Rakh
Sirf Zindgi Or Zindgi Ke Geet Na Gaye Ja
Jikr Maut Ka Bhee Apne Gumaan Me Rakh

Kiss Tarah Jeena Hai Ye Khud He Fainsla Ker
Nigaahen Jameen Per Rakh Chaahye Aasmaan Pe Rakh
Sirf Zindgi Or Zindgi Ke Geet Na Gaaye Ja
Jikr Maut Ka Bhee Apne Gumaan Me Rakh
Jissko Mil Jaaye Wo Gumon Me Bhee Muskura De
Cum Se Cum Itni Nazaaqat Apne Salaam Me Rakh
Sirf Zindgi Or Zindgi Ke Geet Na Gaaye Ja
Jikr Maut Ka Bhee Apne Gumaan Me Rakh
Mehboob Se Kiye Vaada-E-Wafa Kabhee Na Bhool
Ek Tasveer Khuda Ki Bhee Dil-E-Nadaan Me Rakh
Sirf Zindgi Or Zindgi Ke Geet Na Gaaye Ja
Jikr Maut Ka Bhee Apne Gumaan Me Rakh
Tujhse Ru-Baru Hoker Dhul Jaye Kaafir Ki Ruh Bhee
Itni Paak Shaksiyat Apne Imaan Me Rakh
Sirf Zindgi Or Zindgi Ke Geet Na Gaaye Ja
Jikr Maut Ka Bhee Apne Gumaan Me Rakh
-ŗkaran- Kehta Hai Ke Lafz Akser Cum Pad Jaate Hain
Issliye Apna Haal-E-Jist Apni Muskaan Me Rakh
Sirf Zindgi Or Zindgi Ke Geet Na Gaaye Ja
Jikr Maut Ka Bhee Apne Gumaan Me Rakh