Tadpa Jati Hain Aksar Unki Yeh Jhukti Hui Aankhen,
Jab Uth-Ti Hain Yeh Aankhen To Yahi Dua Ban Jati Hain.
Yeh Unki Di Hui Ishq-E-Tadap Hai, Ya Unki Hai Dua,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.
Unki Is Chahat Me Tadap-Tadap Ke Jee Rahe Hain,
Ya Unhi Ki Dua Ke Asar Se Aaj Saanse Le Rahe Hain.
Yahi Sochte-Sochte Bas Raat Se Subah Ho Jaati Hai,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.
Ek To Unka Haseen Chehra, Us Par Kaali Zulfon Ke Pehra,
Wo Palkon Ki Chilman Aur Aankhon Ka Kaajal Gehra.
Ek Nazar Bhar Jo Dekh Le To Kayamat Ho Jaati Hai,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.
Wo Sharm-O-Naadani Se Unka, Apni Nazren Churaana,
Wo Aanchal Ko Daaton Me Daba Kar Yun Muskuraana.
Yahi Andaaz-O-Ada To Unki Tadapne Pe Majboor Kar Jati Hai,
Jo Raaton Ko Jagne Ki Vazah Ban Jaati Hai.