Tabiyat Apni Bhi, Kuchh Tang-Tang Si Rehti Hai
Kuchh Semte-Simte Se Wo Bhi Nazar Aate Hain,
Jaane Apni Is Mohobbat Ka, Anjaam Kya Hoga,
Hame To Aagaaz Ke Aasaaz Bhi, Kam Nazar Aate Hain,
Kuchh Sanjeeda-Sanjeeda Se, Wo Bhi Rehte Hain
Or Baaton Se Baatein, Ham Bhi Bana Nahi Paate,
Nigaahein Ham Pe Unki, Kuchh Kam Hi Utha Karti Hain
Or Nigaahein Uthne Ka Intzaar, Ham Bhi Nahi Kar Paate,
Mauke To Phir Bhi, Ban Hi Jaate Hain
Kabhi Bheege Se Rahon Me, Wo Nazar Aa Hi Jaate Hain,
Apne Dilon Jaise Hi Hain, Apne Chhaate Bhi
Aksar Do Logon Ke Khaatir, Chhote Pad Jaate Hain?
Kai Martaba Chaaha Ke Bata Dien Haal-E-Dil Unko
Kai Martaba Ham Unke Nazdeek Chale Jaate Hain,
Kismat To Dekhiye Ke, Ye Mausam Bhi Saath Nahi Deta
Kabhi Bijliyon Ka Shor To Kabhi Ye Baadal Baras Jaate Hain,
Mohobbat Karne Ka Jigar To Bana Liya Lekin
Ye Dil Haathon Me Kahaan Le Paate Hain,
Roj Mulaqaat To Apni Bhi Kismat Me Kahaan
Or Jo Kabhi Mil Bhi Jaein To, Nazrein Jhuka Ke Nikal Jaate Hain.