Sonchte Rahte Hain Tere Bare Me Ye Jan-E-Ghazal,
Saaz-E-Dil Mein Shayad Ulfat Ki Kahani Hai.
Har Rang Kayamat Adaaon Mein Shokhi Bhi To Hai,
Mere Mahboob Teri Kya Badmast Zawani Hai.
Ghataayen Bhi Zulfon Ka Teri Sadka Utar Lein,
Har Ek Phool Pe Teri Chaahat Ki Nishaani Hai.
Ye Aankon Ka Zaadoo Bhi Deewana Bana De,
Har Shaam Bazm Mein Teri Apni Bhi Suhaani Hai.
Hum To Samajh Rahe The Ki Naadaan Hai Tu Magar,
Majboor Ne Dekha To Kaha Tu Bhi To Sayaani Hai.
Ulfat Ne Teri Aag Laga Di Hai Badan Mein,
Tu Mujhme Utar Jaaye To Har Aag Bhi Paani Hai