Sirf Hathon Mein Hath Nahi Mene To,
Unka Umra Bhar Ka Sath Hai Paya,
Zindagi Se Badhkar Chaha Hai Ekduje Ko,
Tabhi To Chahat Ke Safar Mein Hai Ye Maqam Aaya.
Yeh Uski Sachchi Chahat Ka,
Asar Nahi Mujh Par To Aur Kya Hai,
Aankhein Meri Khuli Ho Ya Bandh,
Chehra To Bas Unka Ka Hi Hai Man Mein Samaya.
Sachche Pyar Mein Insan Kyun,
Ho Jate Hai Ek Jism Aur Do Jaan,
Yeh Mujhe Taqdir Ne Samjaya,
Sapna Keh Lijiye Ya Haqiqat Isko,
Magar Muj Mein To Bas Ab Hai Mera Pyar Hi Samaya.
Mere Mehboob Ko Labzon Mein Bayan Karna,
Jaise Namumkin Sa Sabne Paya,
Bas Yun Samaj Lijiye Ke Jism Ko Khubsurat,
To Ruh Ko Uski Khuda Ne Nek Banaya.
Ab Humdono Ke Rishte Ke Bare Mein,
Aur Kya Zahir Karu Aap Se,
Yun Keh Lijiye Ke Yadon Ke Dhagon Mein,
Hum Dono Ne Apne Pyar Ko Hai Piroya.

By Sanket Kalyani