Shor Hai Shahar Mein Deewano Ka,
Sanam Aaj Fir Nazar Se Katil Ban Nikle.
Hume Hukm Tha Ki Unki Gali Se Na Guzrein,
Hum Bhi Sar Pe Kafan Baandh Ke Nikle.
Suna Hai Unko Bhi Hai Shayri Se Lagaav,
To Hum Bhi Apna Hunar Aazmaane Nikle.
Yun To Aadatan Khamosh Rahte Hain,
Kuchh Mahfil Magar Hum Bhi Jamane Nikle.
Saath Unka, Haantho Ki Chhuan, Shokh Nazar,
Aaj Yaadon Ke Kaafile Mujhko Sataane Nikle.
Dard Is Dil Mein Kuchh Zyada Hai,
Mumkin Hai Asar Meri Duaon Mein Nikle.
Har Shaks Mohabbat Ka Zahar Pee Gaya,
Ek Besabar Hum Hi Is Daur Mein Nikle.
Andaaza Hua Tab Is Shahar Ke Jalne Ka,
Jab Apne Ghar Ki Aag Bujhaane Nikle,
Jis Shaqs Ke Lafjon Ne Ghayal Rakha Tha,
Wahi To Charagar-E-Zakhm-E-Dil Nikle.
Hum To Paak Hi The Ishq Ki Raahon Pe Sada,
Shikwe Itne Kahaan Se Fir Na Jaane Nikle.
Ghar Na Aayegi Chingaari Yakeen Tha Magar,
Hawa Ke Mujhse Kuchh Ranj Puraane Nikle.
Jab Log Yahaan Mohaabt Ke Liye Mit-‘te The,
Bahut Arsa Hua Hai Wo Zamaane Nikle.
Ek Muddat Se Na Bahe The Magar Ashq Aaj,
Seene Ke Kuchh Dard Bahaane Nikle.
In Raahon Pe Fanaa Ho Gaye Taare Kai,
Is Safar Pe Hum -Ë—tanha-‘ Kyun, Na Jaane Nikle.