Shiqayat Karein Shiqwa Karein Ham Kya Karein
Zakhm Dein Chud Ko Yaan Rone Lagein Ham Kya Karein
Sans Lein Tere Bagher Yaan Mar Jaayein Ham Kya Karein
Khuda Se Dua Karein Ke Tere Ho Jaayein
Yaan Bas Ek Baar Tujhe Gale Se Laga Lein Ham Kya Karein
Tumse Baat Ki To Logon Ne Mere Hont Si Diye
Tumhe Likha To Majboori Ne Mere Haath Baand Diye
Ek Kaam Ki Jiye Mere Sanam Yaan To Apni Jaan
Ko Apna Bana Li Jiye
Yaan Phir Apni Jaan Ko Chud Hi Maar Di Jiye
Kya Karein Ham Yeh Nahi Jaante
Us Khuda Ke Is Zulm Ko Ham Khudaai Nahi Maante
Agar Woh Khuda Ho Kar Ham Par Reham Nahi Kar Sakta
To Woh Khuda Ho Kar Mujh Pe Zulm Karne Ka Haq Nahi Rakta
Kya Woh Nahi Jaanta Ke Tere Bin Ham Nahi Ji Sakte
Kya Woh Nahi Dekhta Ke Tera Naam Lete Ham Nahi Takkte
Log Kehte Hain Sache Dil Se Mango To Khuda Bhi Mil Jaata Hai
Nahi Chahiye Chuda Hamne To Sirf Tumhe Manga Hai
Jab Se Tumse Maine Kiya Hai Pyaar
Sirf Aur Sirf Kiya Hai Tera Intezaar
Itne Din Guzar Gaye Guzre Itne Mahine Aaya Hone Ko Saal
Ham Hain Ke Jiye Jaa Rahe Hain Ho Ke Behaal
Itna Waqt Guzar Gayaa Hua Nahi Tera Didaar
Na Aaj Na Kal Naa Hua Ek Baar
Ham Hi Jaante Hain Ham Aane Wale Waqt Me Kaise Jiyen Ge
Aansoon Banein Ge Barish Par Aahein Hoton Tak Na Pohonche
Isi Liye Apne Hoton Ko Siyen Ge
Har Raat Ho Gi Mere Aschkon Ki Barsaat
Jaise Ho Koi Shaadi Aur Aayee Ho Baraat
Dil Ke Thoothe Tukron Ko Kaise Main Sametun Mujhe Yeh Bata
Jaanti Hoon Hai Tujhe Mujh Se Mohabbat Mujhe Hai Pata
Is Bechain Dil Ko Izhaare-Mohabbat Sekaraar Nahi Aaye Ga
Yeh Dil To Skun Tab Hi Paaye Ga Jab Tu Mujhe Apna Banaye Ga
Sari Duniya Chor Kar Mujhe Apne Gale Se Lagaye Ga
Maaf Karna Dilbar Yun Rote Rote
Dil-E-Dard Ko Beyaan Karte Karte
Meri Kalam Ki Sayahi Chatam Ho Gayee
Aaj Rote Rote Yeh Raat Bhi Dal Gayee
Sochti Hoon Apne Chun Se Beyaan Karun Ab Apne Dard-E-Dil Ko
Par Mera Chun Dekh Kar Ho Ga Dard Tere Dil Ko
Bas Ek Hi Iltijaa Hai Meri Tujh Se
Chura Le Jaa Apni Jaan Ko Is Duniya Se
Darrti Nahi Duniya Se Darrti Hoon Khud Se
Moat Se Nahi Darrti Hoon Kahin Ho Naa Jaaun Judaa Tujh Se