Sheeshe Se Bani Ek Ladki
Patthar Ke Nagar Mein Aayi
Voh Dhoond Rahi Thi Moti
Aur Patthar Se Takraayi
Sheeshe Se Bani Ek Ladki
Patthar Ke Nagar Mein Aayi
Sheeshe Se Bani Yeh Ladki
Is Baat Se Hai Anjaani
Jab Rait Chamakti Hai To
Lagti Hai Door Se Paani
Yeh Phool Hai Sab Kaagaz Ke
Lekin Voh Samajh Na Paayi
Sheeshe Se Bani Ek Ladki
Patthar Ke Nagar Mein Aayi
Voh Dhoond Rahi Thi Moti
Aur Patthar Se Takraayi
Sheeshe Se Bani Ladki Se
Keh Do Ke Na Baad Mein Rona
Kuch Log Hain Jo Peetal Ke
Kehte Hai Voh Khud Ko Sona
Yeh Jhoot Ka Pul Tootega
Aur Gehri Hai Gham Ki Khaayi
Sheeshe Se Bani Ek Ladki
Patthar Ke Nagar Mein Aayi
Voh Dhoond Rahi Thi Moti
Aur Patthar Se Takraayi