Shayro Ka Kam Hai Shayri Karna
Kaviyo Ka Kam Hai Kavitaye Likhna
Hum Jaise Dilwaloka Kam Hai Sacchi Mohabbat Karna
Tere Hoto Se Lagkar Ye Hava Sharab Ban Gayi
Aakon Se Lagkar Jam Ban Gayi
Aur Tere Galo Se Lagkar Ye Gulab Ban Gayi
Sach Hi Kahte Hai Duniyawale
Ki Mujse Milkar Tu Lajawab Ban Gayi
Din Bit Gaye Rate Kat Gayi
Tere Intajar Main Sanam Sadiya Bit Gayi
Kya Ye Mera Pyar Hai Ya Meri Gustakhi
Ya Teri Bevafai Ya Fir Koi Majburi
Tumasa Koi Dusara Jameen Par Huaa
To Rab Se Shikayat Hogi
Ek Ko Jela Nahi Jata
Dusara Aa Gaya To Kya Halat Hogi
Tere Dar Pe Sanam Hazar Bar Aayenge
Tere Dar Pe Sanam Hazar Bar Aayenge
Bel Bajayege Aur Bhag Jayenge
Tumko Dekha To Ek Khayal Aaya
Tumko Dekha To Ek Khayal Aaya
Tumhari Saheli Ko Dekha To Dusara Khayal Aaya
Itani Khubasurat Kaise Muskara Leti Ho
Itana Katil Kaise Sharma Leti Ho
Kitani Aasani Se Jan Le Leti Ho
Kisane Sikhaya Ya Bachapan Se Hi Kamini Ho
Jindgi Ke Hasin Khwab Ban Kar Jeena,
Geet Ke Taaza Gulab Ban Kar Rehna,
Dukh Ke Baadlon Ko Na Aane Dena Jeevan Main,
Tum Is Dharti Par Aaftab Ban Kar Rehna
Mere Badan Se Teri Khushbu Aati Hai
Tere Badan Se Meri Khushbu Aati Hai
Yahi Khushbu To Mujhe Tere Paas
Hone Ka Ahsaas Dilati Hai
Kyonki Muhje Maloom Hai Meri
Tarah Tu Bhi Roj Nahi Nahati Hai
Janaza Agar Unke Dar Se
Gujre To Thodi Der Rukwa Dena,
Hath Uthe Duva Ke Liye To
Chehre Se Kafan Hata Dena,
Aur Wajah Puche Maut Ki To
“Engineering” Bata Dena
Zindagi Hai Nadan Isliye Chup Hoon,
Dard Hi Dard Subah Shaam Isliye Chup Hoon,
Keh Du Zamane Se Dastan Apni,
Usme Ayega Tera Naam Isliye Chup Hoon