Shab Guzar Na Jaaye, Hai Intezaar-E-Yaar Ka
Bas Shauq Hai Hamein To Deedar-E-Yaar Ka
Manzar Judaaiyon Ka Dekha Gaya Na Mujh Se
Chhut-Ta Nahin Hai Daaman Ab Khyaal-E-Yaar Ka
Gosha-E-Tanhaai Mein Tareeki Har Samat
Deedaar Hoga Kaise Tasveer-E-Yaar Ka
Dar Hai Kaheen Chheen Le Akhtyaar-E-Tassavur
Tassavur Hi Hai Sahaara Dil-E-Daagdaar Ka
Toofaan Se To Ladne Mein Lutf Hi Aur Hai
Le Kar Sahaara Beh Chale Visaal-E-Yaar Ka
Dekha Hai Ek Baargi Jalva-E-Husn-Yaar
Bhhoolega Na Nazaara Kuchaa-E-Yaar Ka
Gairon Ki Baat Ka Aitbaar Kya Karen
Ab To Bharosa Na Raha Vafa-E-Yaar Ka
Is Ladkhadaati Zindagani Ke Safar Mein
Mil Jaaye Kisi Mod Par Jalva-E-Yaar Ka
Zindagi Ki Shaam Par Mil Jaaye Ek Baar
Rooh Karegi Shukria Ahsaan-E-Yaar Ka