Shaayad Khabar Nahi Tumko
Ke Kitna Tadpaati Ho Tum
Jab Bhi Mai Sanjeeda Hota Hoon
Mujhe Dekhkar Aksar Muskuraati Ho Tum
Mai Hoon Ke Tumse Milne Ke
Bahaane Talaash Karta Hoon
Ek Tum Ho Ke Mere Aane Par
Kahin Or Mashroof Ho Jaati Ho
Sochta Hoon Kabhi To Parhogi
In Aankhon Me Meri Chaahat Tum
Or Tum Ho Ke Apni Palkon Ko
Apni Nigaahon Se Nahi Uthati
Na Jaane Kitne Khwaab Hain
Khudaaya Tumhaari Kismat Me,
Or Hamaari Aankhon Ka Ye Aalam Hai
Ke Aksar Raaton Me Neend Nahi Aati
Jalan Si Hone Lagi Hai Mujhko
Tere Chehre Ki Muskuraahat Se
Apna Ye Haal Hai Ke
Muddaton Chehte Pe Muskurahat Nahi Aati