Sawan Ke Suhane Mosam Mein
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Maathe Pe Sitaaro Ki Jag-Mag
Bangal Ka Jaadoo Baalo Mein
Hontho Pe Tabbsum Phoolo Ka
Kashmir Ki Rangat Gaalo Mein
Bijali Jo Humare Dil Pe Geeri
Un Aankho Mein Thi Kajal Jaisi
Mehfil Mein Jidhar Wo Aaye Nazar
Har Aankh Udhar Ho Jaati Hai
Wo Jab Aaye Wo Jab Jaaye
Logo Ko Khabar Ho Jaati Hai
Wo Jab Bhi Nikalti Hai Ghar Se
Baj Uthti Hai Payal Jaisi
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Sawan K Suhane Mosam Mein
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Ye Jhuki Hui Rangee Palke
Ye Chehre Ka Sharmilpan
Laaya Hai Bana K Usko Dulhan
Ye Joban Ye Albelapan
Dekho To Wo Sar Se Paav Talak
Lagti Hai Tajmahal Jaisi
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Sawan K Suhane Mosam Mein
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Har Jazbaa Sher Mein Dhal Jaaye
Har Baat Kavita Ho Jaaye
Jo Dekhe Use Wo Kho Jaaye
Jo Mile Wo Shayar Ho Jaaye
Andaaz Hai Usme Geeto Ka
Aawaz Hai Uski Gazal Jaisi
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Sawan K Suhane Mosam Mein
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Maathe Pe Sitaaro Ki Jag-Mag
Bangal Ka Jaadoo Baalo Mein
Hontho Pe Tabbsum Phoolo Ka
Kashmir Ki Rangat Gaalo Mein
Bijali Jo Hamare Dil Pe Geeri
Un Aankho Mein Thi Kajal Jaisi