Sard Hawaon Ki Thandi Siskar Thi,
Haath Uska Mere Haathon Mein Tha,
Uske Tan Ki Garm Aahein Mujhe Bechain Kar Rahi Thi,
Raah Bhi Virani Aur Wahaan Koi Na Tha,
Bebas Dil Ko Thamne Ki Koshish Bahut Ki,
Par Wo Bhi To Unka Ho Chuka Chala Tha,
Mere Haya Se Unki Aankhein Jhukne Ko Aatur Thi,
Par Tham Liya Maine Unke Chehre Ko Apne Haathon Se,
Maine Khona Chaha Tha Unki Bahon Mein Unki Panahon Mein,
Unka Bhi Aalam Kuch Is Tarah Hi Tha,
Unki Shabo Haya Mujhe Unki Ghayal Kiye Ja Rahi Thi,
Unka Haseen Chehra Mujhe Pagal Kiye Ja Raha Tha,
Unke Lab Jaise Mere Labon Ko Chhune Ko Bekarar The,
Unke Saath Hi Tha Safar Unke Ikraar Ka,
Chhod Baitha “Gopal” Apne Hosho Hawas Unke Daman Mein,
Shayad Unhe Bhi Hamare Isi Baat Ka Intzaar Tha,
Raah Suni Dil Bechain Tha Unhe Pane Ko,
Shayad Wo Pal Jald Aane Wala Tha.
By Gopal Bagani