Sard Hawaao Ne Phir Cheri Hai Jaise
Wohi Dil Ke Armaano Ko
Kisi Ki Yaad Seene Mein
Aaj Bhi Dharak Rahi Hai Aise
Reha Rehakar Tujhe
Bulati Hai
Aa Phir Ek Baar Mujhe
Apna Banane Ke Liye Aa Aise
Ooske Aate Hee Esa Laga Jaise
Sard Hawaaon Ka Zhonka Aaya
Ek Tufaani Raat Se Bhari
Ghanghor Barish Mein Jaise
Bheeghi Hui Zulfon Se Tapakta Paani
Yeh Keha Rahi Hon Jaise
Zhoom Ke Barso Bas
Bheeg Jaane Do Aaj Mujhe Aise
Jab Thand Se Palkein Khuleen To
Dekha Tufaan To Tha
Barish Ab Bhi Zoron Se Baras Rahi Thi
Aur Mein Bas Bheeg Rahi Thi
Haan Tufaani Barish Mein Bheeg Rahi Thi Aise