Sahme Se Pyare Panchhi Shakhon Se Ud Gaye Hon
Dhadhakti Hui Dhoop Me Baadal Umad Gaye Hon
Labon Pe Bikhra Jaise Khamoshiyon Ka Pehra
Kuchh Aisa Hi Dikhta Hai Tasveer Me Ye Chehra.
Door Nazar Aaya Ho Ik Jaana-Pehchana Jahan
Ek Sada Le Aayi Ho Aashnaai Ke Nishaan
Sunkar Jise Laga Ho, Naata Hai Koi Gehra
Kuchh Aisa Hi Dikhta Hai Tasveer Me Ye Chehra.
Kuchh Kehne Ki Ho Khwahish, Kuchh Sunne Ki Tamanna
Aankhen Khuli Hain Phir Bhi,Khwabon Ko Unme Bunna
Nigahon Me Samandar,Veeraan Dil Me Sehra
Kuchh Aisa Hi Dikhta Hai Tasveer Me Ye Chehra.