“Sahil Apni Pehli Shayri Se Pervano Ke Sine Mein Ashiqi Ki Shama Jalana Chata Hai
Sahil Apni Akhri Shayri Se Un Ashiqe Pervano Ko Us Ashiqi Ki Shama Me Jala Dena Chahta Hai”
Ishq-E Haal Kitna Milta Hai Hum Dono Ke Dil Ka
Tere Dil Mei Mehal Nazer Aata Hai Meri Mohabbat Ka

Jaanker Ishq-E Haal Tere Dil Ka
Ahesase Ishq Hua Muje Mere Dil Ka
Ishq-E Haal Kitna Milta Hai Hum Dono Ke Dil Ka
Tere Dil Ke Aaine Mei Aks Nazer Aata Hai Mere Dil Ka
Shama-E Ishq Ki Roshni Dekhker Tere Dil Mein
Ashiq-E Parvana Ban Ke Jalna Chahta Hu Tere Dil Mein
Ishq Ki Leheren Lehrahi Hai Tune Mere Dil Mein
Is Leheron Ko Samana Chahta Hu Tere Dil Ke Samander Mein
Tujse Haale Dil Kaise Bataye O Sanam
Tujse Kitni Hai Mohabbat Kaise Chupayen O Sanam
Dil Hai Bekarar Rehti Ho Tum Nighahon Mein Her Dum O Sanam
Nazer Aati Hai Surat Teri Meri Nighaon Mein Kaise Chupaye Zamane Se Hum O Sanam
Teri Nigahon Mein Basna Chahta Hun Aankho Aur Palko Ki Taranh
Tere Dil Mein Mehkna Chahta Hu Foolon Aur Khusboo Ki Taranh
Tere Mere Pyaar Ko Roshan Kerna Chahta Hu Chand Ki Chandni Ki Taranh
Tere Mere Pyaar Ke Fasaane Zamane Ko Dikhana Chahta Hu Suraj Aur Sitaron Kin Taranh
Faasla Samandro Ka Sahi Tere Aur Mere Beech Mein
Pukaro Kisi Pal Bhi Mujeh, Sunogi Dharken Mere Dil Ki Tere Dil Mein
Guzer Gaya Yeh Waqt, To Fir Nahin Aayega Lamha Aisa Hamare Milan Ka
Sahil Hai Betaab Ke Sangam Ho Jaai Hamara Asia Jaisa Ke Subha Aur Shabnam Ka
Ishq-E Haal Kitna Milta Hai Hum Dono Ke Dil Ka
Tere Dil Mein Mehal Nazer Aata Hai Meri Mohabbat Ka