Safar Me Muskeelen Aayen To Zurrat Aur Badhati Hai,
Koi Jab Rasta Roke To Himmat Aur Badhti Hai
Meri Kamjoriyon Par Jab Koi Tankeed Karta Hai,
O Dusman Kyon Na Ho Usse Muhabbat Aur Badhti Hai
Zaroorat Me Azizon Ke Agar Kuchh Kaam Aajao,
Rakam Bhi Doob Jati Hai Adawat Aur Badhati Hai
Tera Masoom As Chehra Chhupalun Aankh Me Kaatil,
Nazar Mujhko Na Tu Aaye To Dhadkan Aur Badhti Hai
Agar Bikane Pe A Jao To Ghat Jate Hain Daam Aksar,
Na Bikane Ka Irada Ho To Keemat Aur Badhti Hai