Rootheyngey, Khafaa Hongey, Jhagrheyngey, Sataayengey!
Bas, Tum, Hamain Manaanaa; Ham, Tum Ko Manaaeyngey!!
Yeh Rahguzar Hai Dilkash; Yeh Ishq Ajab Shai Hai;
Ham Saath Hi Rahtey Hain! Ham Saath Hi Jaayeyngey!!
Raah-E-Talab Hai Aagey; Ruknaa Hamain Naheen Hai!
Gul Houn, Ki, Khaar? Leikin, Kuchh Kar Naheen Paayeyngey!!
Aankhoun Mein, Sharaarat Kaa, Mahfooz Tabassum Thaa:
Nazrain Churaa Key Boley: “Ham Aa Naheen Paayeyngey!”
Ham Ko Bhi Yeh Patah Hai, Waa’daa-Khilaaf Hain Woh;
Yeh Waa’daa Hai Hamaaraa, Ham Waa’daa Nibhaaeyngey!
Ab, Ay ‘Abd’, Kisee Ney Kuchh Bhi Kahaa Ho Ham Sey;
Ham, Unkee Bazm Key Hain: Ham To Wahaan Jaayengey