Ret Ke Is Dher Mein,
Koi Gharaunda Kabhi To Bana Hoga.
Kabhi To Kinhi Payare Haatho Ne Inhe,
Chhua Hoga, Aakaar Diya Hoga.
Chamakte Ankhon Mein Khwaise Liye Hazar
Dil Mein Umnag Liye, Liye Hue Dher Sara Pyar
Ek Sapne Ko Karne Sakar,
Kabhi To Kisi Ne Inhe Moort Kiya Hoga.
Socha Hoga Ban Kar Kabhi Ye Na Tootega,
Aur Tootega Bhi To Kaise,
Laharo Ke Aage Wo Khud Honge,
Hatho Mein Haat Liye, Ha Yahi To Socha Hoga.
Par Kya Ye Mumkin Tha,
Ki Wo Kal Chakra Ko Rok Sake.
Muskil Waqt Ne Mita Diya Har Wo Nisan,
Ziske Liye Wo Kabhi Na Soch Sake.
Ek Lahar Tha Wo Nahi,
Sitam Ka Ek Toofan,
Kuchh Bhi Baki Nahi Waha,
Mit Gaye Sare Nisan.
Kya Yahi Anzamm Tha
Us Pyar Ke Dargah Ka
Ohhhhh Doobe, Utraye, Haath Na Chhoda
Ek Nazar Feri Or Mit Gaye .
Mit Gaye? Nahi, Ek Ehsaas Ban Gaye
Zab Bhi Karenge Hum Mahsoos Prit Ko
Wo Ye Zazbat Ban Gaye.
Chalo Dhoonde In Ret Ke Maidano Mein,
Sayad Hume Bhi Mil Zaye Apni Dhoono Ki Gazal,
Ye Ret Ka Maidan Nahi,
Ye To Hai Mohabbat Ka Taj Mahal