Raat Gaya Koyi Badan Gul-E-Tar Sa Mehka Ke
Jaane Kaun Guzra Humpe Sitaare Lutaa Ke
Usne Kaise Nigaahon Se Chuuma Thaa Mujhko
Ke Hum Chalte Rahe Umr Bhar Ladhkhada Ke
Kaati Tamaam Shab Aankhon Hii Aankhon Mein
Jab Tak Naa Laayi Neend Khwaab Unke Sajaa Ke
Wo Chaahte Thhe Sun Naa Honthon Kii Adaa Se
Hum Karte Rahe Bayan Jo Nazar Kii Zubaan Se
Ishq Mein Faasle Hon, Yeh Qaaidah Nahin Hain
Gale Milte Hain Humse Wo Khayalon Mein Aa Ke
Rishton Kaa Rang Ab Chhod Tau Kaise, Kii Wo
Eid Ke Aariz Pe Gaye, Rang Holi Kaa Laga Ke
Dekh Kar Paras Kii Duaayein Saath Unke
Reh Jaati Hain Mushqilein Unki Jhunjhla Ke
Gul-E-Tar = Dew Drenched Flower