Pyasa Hu Samnay Hai Sagar Magar Peene Ka Hosla Nahi
Dil Me Hai Bahut Kuch Magar Unse Kuch Kehne Ka Hosla Nahi
Zakham Dekhe Hai Khaye Hai Par Khamosh Hu
Dard Ke Dar Se Unhe Seene Ka Hosla Nahi
Do Kadmo Par Hai Manzil Rah Bhi Phoolon Bhari Hai
Magar Tera Daman Chor Kar Jane Ka Hosla Nahi
Raat Hai Tanhi Hai Tu Hai Or Sirf Me Hu
Magar Tujhe Haat Lagane Ka Hosla Nahi
Tujhe Pana Na Mumkin To Nahi Bahut Muskil Hai
Magar Mujhe Me Tujhe Bhul Jane Ka Hosla Nahi
Chlate Jana Musalsal Chalet Jana Hai Aadat Meri
Ruk Kar Piche Dekhne Ka Hosla Nahi