Phoolon Ki Jo Mehak Hain Tere Aangan Mein,
Us Har Gulab Kaa Rang Bahut Hii Laal Ho
Har Pankhuri Mein Ho Pyar Hi Samaya,
Duniya Ki Mohoobat Tujh Par Kurbaan Ho
Wo Samunder Ki Lehrain, Jo Patharon Se Takra Rahi Hai,
Us Samunder Ka Rang Neela Sa Ho
Har Lehar Tere Honto Par Laaye Muskrahat,
Teri Himat Tera Housla, Is Duniya Ki Pehchaan Ho
Wo Pattey Jinhone Diya Saath Tera Is Khija Tak
Aane Wala Sawaan Tere Liye Sunhera Rang Ka Ho
Jhoomti Lehrati Hawa, Saath Ho Jisme Dilruba Ka,
Itni Shidhaat Se Miley Tujhey Pyar, Jisme Sacha Imaan Ho
Panchi Chehak Rahe Hai, Jis Aasmaan Me
Umangey, Chahtey Bhari Ho Us Neelley Se Aasmaan Mein
Har Din Roshni Se Bhara, Har Pal Chahtey Teri Puri Ho
Tujhse Milke Rahaiga Sab Kuch, Beshak Iske Badley Me Meri Jaan Ho!
Jholi Ho Teri Hamesha Khushiya Aur Hasi Se Bhari,
Duniya Bhi Dekhey Teri Kameyaabi, Teri Khushi…
Tujhey Sab Kuch Dene Wala, Wo Khud Bhagwaan Ho