Phir Se Saawan Aaya Hai Dil Mein Aag Lagaane Ko,
Phir Se Jee Lalchaaya Hai Seene Se Tumhe Lagaane Ko,
Phir Giri Hai Boond Chaahat Ki, Is Dil Ki Zameen Par,
Jhoomi Hai Ye Zameen Bhi Chaahat Mein Bheeg Jaane Ko,
Soona Hai Raasta, Door-Door Tak Koi Raahi Nahi Hai,
Phir Aankhein Bichhayi Hain Humne Teri Ik Jhalak Paane Ko,
Sachhe Pyaar Ko Naam Diya Hai “Khuda” Logon Ne,
Hum Bhi Nikle Hain Is Raaste Par Woh “Khuda” Paane Ko,
Shaayad Kabhi Meharbaan Ho Khuda Preet Par , Aur Kabool Ho Uski Dua,
Isiliye Karte Hain Arz Us Khuda Se Harbaar, Ik Tumhe Apna Banaane Ko,
Log Kehte Hain Pyar Ke Nashe Se Bada Nasha Nahi Jahaan Mein,
Hum Bhi Baithe Hai Teri Khaatir Iss Nashe Mein Talli Ho Jaane Ko,
Dil Mein Kaafi Armaan The Jo Sula Chuke The Hum Kabhi,
Aaj Nikle Hain Phir Naye Armaa, Woh Soye Armaan Jagaane Ko,
Nahi Sahi Jaati Ye Judaai Ki Jalan Ab Aur Mujhse,
Aa Rahi Hai Preet Phir Se Tere Pyaar Mein Bheeg Jaane Ko,
Kaash Ye Saawan Phir Tujhe Apne Saath Hi Le Aaye,
Phir Rahegi Koshish, Nazron Ke Raste Tere Dil Mein Ghar Kar Jaane Ko,
Na Hone Degi Preet Phir Kam Tere Suroor Ko Apne Dil-O-Dimaag Se,
Chaahe Ruksat Ho Uski Jaan Ya Chhodna Pade Use Zamaane Ko,
Tum Bhi Chaahoge Preet Ko Or Jhoomoge Is Mausam Ke Nashe Mein,
Phir Karoge Fariyaaad Mausam Se, Sadaa Ke Liye Thehar Jaane Ko,
Aaj Saawan Ne Iss Kadar Bijli Giraayi Hai,Ki Ruhaani Mel Ko Jee Chaahta Hai,
Phir Se Ki Hai Guzaarish Dil Ne, Ik Sirf Tere Dil Mein Thodi Si Jagah Paane Ko……………