Pehle Main Chain Se Soya Kartaa Thaa
Ab Raaton Ko Karvaten Badalne Laga Hoon Main
Pehle Main Bohat Baaten Kiya Karta Tha
Ab Chup Chup Rehne Laga Hoon Main
Pehle Mehfilon Mein Raha Karta Tha
Ab Akele Rehne Laga Hoon Main
Shayri Aur Kavita Ka Shoq Tha Mujhe
Par Ab Khud Shayri Likhne Laga Hoon Main
Us Se Mulaqaat Hone Ke Baad Jaane Kyon
Usi Ke Baar Mein Hi Sochne Laga Hoon Main
Zindagi Ke Safar Mein Akele Chalte Chalte Achanak
Unke Saath Chalne Ki Khwahish Karne Laga Hoon Main
Jo Lamhe Humne Saath Bitaaye They
Wo Lamhe Ab Roz Yaad Karne Laga Hoon Main
Sab Log Mere Khoye Khoye Rehne Ki Wajah Puchte Hai
Par Ab Yehi Sawaal Khud Se Puchne Laga Hooon Main
Bhale Hi Woh Mujhse Door Hai Par
Har Ghadi Unki Ahat Mehsus Karne Laga Hoon Main
Pehle Woh Mujhe Begaane Lagte They
Par Ab Unme Apnapan Mehsus Karne Laga Hoon Main
Pehle Main Pyaar Ki Baaten Nahi Samajhta Tha
Par Ab Woh Saari Baaten Samjhne Laga Hoon Main
Main Apni Khud Ki Haalat Pe Heraan Hoon
Kyon Aisa Hone Laga Hoon Main
Mujhe Aisa Lagne Laga Hai Yaaron
Shayad Unse Pyaar Karne Laga Hoon Main